Gazal

• Hai tere zulm ka shahid wo aasmaan abhi
~~ Yaad hai zameen ko meri daastaan abhi

[shahid : witness]

• Uski ruswaayi ka gham hai sata raha warna
~~ Kaati nahi hai usne meri zubaan abhi

• Aksar duaon main humko kiya karte thay yaad woh
~~ yun bicchadne ka na tha unko, na humko gumaan abhi

• Masjid ko jaate jaate unke kooche se hua guzar
~~ Mullah-o-butt ki yaari hai wahaan abhi

• Us qaatil ka ye kehna mashoor hai waaiz
~~ “kaafir ko ishaaron main kardoon musalmaan abhi”

• Usko ye khauf, ki gumrah hain gareeb
~~ Qasa liye hai darr pe mere, sultaan abhi

[Qasa : Begging bowl]

• Usko hai zidd ki wo phool ho sirf mere chaman ka
~~ Par kaantoon se bhara hai mera gulistaan abhi

Gowhar kehna ussey ki hogi mulaqaat aksar
~~ Chodda hai uska koocha na chodda jahaan abhi

Gazal

•Hai zameen se riss raha, na jaane ye khoon kis ka?
~~
Majnoon ne kaha mujhse, “Aisa hai junoon kis ka”?

•Wafa se pehlay hi, jo hum bewafa ho chalay
~~
Sikhlaaya aashiqui ne hai ye fanoon kis ka?

[Fanoon = talent]

•Sab parinday to laut aaye hain apney ghar ko
~~
Phir kyun ho roo rahe, intezaar hai guloon kis ka?

[guloon =flowers]

•Huay ab jo mashriq main bhi, hum log sharmsaar
~~
Magrib se sadaa aayi, “nimaz hai satoon kis ka”?

[satoon= pillar/obligatory; which contains the solutions]

•Mera qaatil hai aa raha, main hun ye sochta
~~
Khanjar-o-ada main se uske, bharam rakhoon kis ka?

•Wisaal-e-shab main, apna saaya bhi nazar na aaya
~~
Ab tu hi bata de Gowhar, main yaqeen karoon kis ka?

Still Trying

• Aaj kal kyun hai dil mera khafa-khafa sa mujhsay?
~~
Tha kabhi raaz-daan mera, chupke kya keh gaya tujhay?

• Haaye! kis shooq se mera kissa thay taarey sun rahe
~~
Tu hai zaalim ae aaftaab! unke dil hain roopadey

•mast aashiq dar-e-maidaan kyun na jaaye kheeme main?
~~
Khoon ki hai laggi Henna, teer ke zeyvar hai sajjay

(kheeme- Tents/shelter during battles)

•Maar sakta hai jism tu, rooh ko bhi to maar de ~~

Suna hai, shaheed se pehle, uske qaatil hain marey

•Kyun hoon main jhoom raha, kaisi hai ye masti?
~~
Maine kab pii rakhi thi saaqi? bas tujhe dekh kar chaldiyay

•Haaye! Us yaar ke wisaal pe kyun na main marr mitoon?
~~
Apna shikwa laga kharaab, jo suney uske chand gillay

Gowhar us yaar ko humne dekha nahi kabhi
~~
Teri dua ho qabool, az-shab wo khwaab main milay

One more attempt

Keh kar ye baat ussne kiya tha hamain la-jawaab //
Nazar aati hai zulmatein jab bhi dekhte hai aaftaab!

(zulmatein- darkness)
(aaftaab-Sun)

Un ki ik tasveer thi dil main //
Us main bhi chehre pe tha naqaab

Dhondhte hum rahe unhe // milnay jab woh aaye the be-hijaab

Dekhli duniya main aakhri rasm-e-waazkhaan // khareedi jaati na thi kabhi dar-e-dargah pe sharaab

Majnoon ne ye humse kaha hai chupke se // hai ye kaisi bebasi? ishq-e-faani ne kiya kharaab

(ishq-e-faani : love of mortals)

Teri kooche main har dam meri aamad par // jo hua karte the chashmain, deikhne lagte the saraab

(aamad: arrival)
(Chashmain: springs)

tum ne maana hai gunaah muhabbat karna butoon se // Ab jo mil rahe ho humse, hai phir kyun ye iztaraab?

(iztaraab- restlessness, excitement)

Jab milenge qaza se, tab wafa tumse karenge // moat se pehle to sabke hotay hain dil kharaab

(qaza- death)

Suna hai farishtoon ne kaha Gowhar se // sawaab tere hai gin rakhe par gunaah tere hai be-hisaab